This is the very effective Rohani Wazifa for those people and couples who are childless and desire to have a child. How To Use: Read this Quranic verse both man and woman 41 times after fajar and after Magrib (two times) daily till the result / pregnancy. They will be gifted child InshAllah . Importance: Start this wazifa when girls get bath after periods. It is better, if start on Thursday or Friday. If both husband and wife after reading blow on water and then they drink daily that water so they will get result soon InshAllah. |
Thursday, 28 March 2013
Wazifa for Aulad / Wazifa for childless people
Wednesday, 27 March 2013
Tuesday, 26 March 2013
Thursday, 21 March 2013
Rizk mei khair-o-barket k liye 25 auraad-0-wazaaif
1 – 1 Minute ka amal: Rozana her namaz k baad 72 bar Yaa Baasitu parh
ker dono haathon ko dam kar k chehre aur seene per pher ker dua Karen
buhat barkat hogi inshallah
2- 2 minute ka amal: Rozana kissi bhi waqt 100 bar “Yaa Alahu Yaa Rahmaaanu Yaa Raheemu” parh k dua Karen
3- 3 minute ka amal: Rozana baad Namaz-e-Fajer 308 bar “Yaa Razzaku” parh ker dua Karen rizk mei inshallah buhat kushaadgi hogii
4- 4 minute ka amal: Rozana 4 rakat salate Chaasht zaroor parhen is ki beshumar barkaten hain
5- 5 minute ka amal: Rozana Subah k waqt Surah Yaseen parhen
6- 5 Minute ka amal: Rozana bad namaz-e-Maghrib surah Waqia parhen
7- 15 Minute ka amal: Baad Namaz-e-Isha 1414 bar “Yaa Wahaabuu” Parh ker
dua Karen rozii mei behad barkat hogii inshallah beshumaar logon ko
behad fayeda hua hai
8- 25 Minute ka amal: Rozana baad namaz-e-Isha 11 martaba Surah Muzammil
parh ker dua Karen. Iski barket se bande ko betahaasha rizk ata hota
hai
9- Har namaz k baad parhen: Yeh dua 12 bar parhen qarz se nijaat aur
barkat-e-rizk k liye buhat fayedamand hai “Allahummak finii’ bihalalika
an haraamika wa aghnini bifadlika amman siwak”
10- Kushaadgi rizk: Kushaadgi Rizk k liye “AllahusSamad” (Surah ikhlas
ki doosri ayat) 1001 bar parhen aur parhne ki baad dua Karen barkat k
saath saath ghinaaye qaibi bhi haasil hogi inshallah
11- Ayat-e-Karima: Baad namaz-e-isha Ayat-e-karima “Laa’ilaha illa anta
subhanaka inni kuntu minazzalimiin” 200 bar parh ker dua Karen
12- Bismillah shareef: 786 bar “bismillahirrahmaaannirraneem” parh ker dua maangen husool-e-barkat-o-ghina k liye mujjarab hai
13- Faraakhi rizk: Faraakhi rizk k liye her namaz k baad dus dus bar Surah qadr parhen inshallah chand hi dinon mei faayeda hoga
14- Nemat mei ziyaadti: Nemat mei ziyadti k liye jo bhi nemat mile uska
shuker ada Karen chahe 1 rupee hi kyun na ho foran Allah ka shuker ada
Karen aur “AlhumdulillahirrabillAalamiin” kahen har waqt Allah ka shuker
ada karne ki adat daalen
15- Buhat hi asaan amal: Hamesha khana khaane se pehle haath dholen aur
“bismillahirrahmaaannirraneem” parh ker khana shuru Karen aur khaane k
baad Allah ka shuker ada Karen rizk mei barkat hogi
16- Husool-e-ghina-o-raahat k liye: Rozana 100 bar “Laa’ilaha illallahul
malikul haqqul mateen” parhne se zindagi mei logon ki mohtaji aur
faqr-o-faqa se bache ga aur qaber mei is ko wehshat na hogi
17- Wazeefa: “Yaa Musabbibul Asbab” Rizk mei barkat,
husool-e-rishta-o-rozgaar, Qarze se khalasi aur deegar mushkilaat se
nijaat k liye buhat mujarrab hai baad namaz-e-Isha nange sar baghair
chhat aasman k neeche khare ho ker k sar per chhat na ho 500 bar “Yaa
Musabbibul Asbab” parh ker dua Karen. Aurten is baat ka ehtamam zaroor
Karen k ghair mehram ki nazar na pare
18- Asaan Amal: Jab ghar mei daakhil hon to koi ghar mei ho ya na ho
Assalam-0-alaiqum kahen phir yun kahen “Assalamo alaiqa Aiyuhannabiyuu
warahmatullahi wabarkaatuhu” is k baad surah ikhlas parhen is per amal
karne se behad-o-behisaab barkat hogii inshallah
19- Surah Kosar: Rozana 100 bar Sura kosar parhen inshallah rizk kaseer mile ga
20- Jumaa-tul-mubarak: Juma k din baad namaz-e-asar kissi se baat na
Karen aur kibla roo bethe rahen aur sooraj ghurrob hone tak “Yaa Alahu
Yaa Rahmaaanu Yaa Raheemu” parhte rahen aur jab sooraj doob jaye us waqt
khoob girgiraa ker dua kar k maghrib ki namaz parhen aur rizk mei
barkat hogi aur jo jayez dua Karen ge inshallah Qubool hogi
21- Zaberdust amal: Rozana 100 bar yeh kalmaat parhen
“bismillahirrahmaaannirraheeme Walahaula walaqouvata illabillahil aliyil
azeem” rizk mei barket ho, balaaoun se hifaazat rahe muhlik bimaariyon
se mehfooz rahe shayaateen aur jinnaat waghaira se mehfooz rahe, dushman
k waaron se bacha rahe aur beshumar fawaayid haasil honge
22- barkaten aur rehmaten: rozana 200 bar surah ikhlas parh ker dua Karen barkaton aur rehmaton k saath dil mei noor barhe ga
23- buhat asaan: Fajr ki 2 sunnaten ghar mei parh ker masjid jayen aur 2 farz jamaat k saath parhen baa’is-e-khair-o-barkat hai
24- Surah Kahaf: jo koi Sura Kahaf ko likh ker aisi sheeshi mei jis ka
moun tang ho daal ker ghar mei rakh le aman ho aur faqar-o-qarz se
chhutkara mile aur logon ki mohtaaji na ho. Neez her jumma ko surah
kahaf ki tilawat karna buhat fazaail-o-barkaat ka baa’is hai
25- Surah Fatiha: jo koi rozana Sura Fatiha 41 bar parhe rozi uski
faraagh ho tangdasti door ho logon ki mohtaaji na rahe aur beshumar
barkaat haasil hon
Amaal karne ki sharaait:
Amaal karne ki sharaait:
- Aqeedah sahi hona zaroori hai
- Namaz aur deegar faraaiz ki pabandi zaroori hai chahe koi wazeefa aur amal karen ya na karen
- Amal sahi talaffuz k saath parhen aur itni awaz se parhen k khud apne kaanon se sune dil hi dil mei na parhen namaz aur deegar wazaaif mei bhi yeh zaroori hai k itni awaz mei parhen k khud k kaano mei awaaz aaye
- Amal parhne se pehle kissi aalime deen ko suna kar apne talaffuz aur airaab check karaalen ho sakta hai aap k talaffuz sahi na hon ya kitaabat mei ghalti hogayi ho
- Har amal se pehle aur baad 11 11 bar durood shareef zaroor parhen.
Wednesday, 20 March 2013
Wazifa or Dua for Marriage
Islam
is the true religion and it provide the clear guide line for its
followers in all aspects of life, so in this way whenever there is a
legal problem arise Islam provide the solution for that particular
problem according to the light of Holy Quran.Through Quranic verses you
can heal your illness and other spiritual problems and delays in your
daily tasks.The given Dua ( Pray) is for early wedding and for marriage of your own choice it mean love marriage. Recite the given dua according to the guide and then Insh Allah you will get the desire result through these Dua.
Wazifa for Job, Dua for Job-6
Job is necessary for every adult, independent person, either male or female. Job provides financial support and satisfaction, moreover fulfill needs and demands of an individuals. In this world now jobs have reduced due to increasing of population as well as because of increasing rate of literacy rate. In this current era women also come up for their jobs, and now getting job is a difficult task. Now a days there is a competition among the candidates for a single vacant post, however still merit is an important tool to judge the candidates calipers. According to Islamic point of view you should get favor from your Allah about your problems, and here is a Quranic Dua or wazifa for getting job, which is very simple just after Fajar or Aisha prayer recite given below dua 101 time with before and after Darood Ibrahimi 11 times, keep it for forty days Inshallah Allah will help you in this matter.5 times prayer and recitation of the Holy Quran is necessary daily.
Tuesday, 19 March 2013
Surah Yasin ke Fazael
HADEES 1:
Hazrat Aisha ( raziallah anha) se rawaiat he ke Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke Quran me aik surat he jo ALLAH ke nazdeek bari azmat waali he jo ise parhe ga ALLAH us ko shareef ke laqab se nawaze ga. rabi aur muzar ki tadaad se bhi ziada afraad ke liye is surat ke parhane waale ki shafaat qabool ki jaye gi. is azmat waali surat ka naam Surat Yaseen he. rabi aur muzar arab ke 2 mashhoor qabeele thay aur un se talooq rakhne waale afraad ki tadaad bohat ziada thi.
Hadees 2:
Hazrat Ans (raziallah anho) Hazrat Muhammad (SAW) se rawayat karte he ke har cheez ka aik dil hota he. Quran ka dil Surat Yaseen he jo Yaseen shareef parhe ga usay us ki qaraat ki waja se 10 bar Quran Majeed parhane ka sawab mile ga. ise tirmazi ne rawaiat kiya (tafseer khazan)
Hadees 3:
Hazrat Ans (raziallah anho) rawayat karte he ke jo shaks Yaseen shareef parhe usay 10 bar Quran Majeed parhane ka sawab mile ga. ( tirmazi shareef)
Hadees 4:
Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke ALLAH ki raza andi ke liye jo shaks Surat Yaseen parhe ga us ke pehle gunah maaf kar diye jaye gay lehaza is surat ko marne waalo ke paas parha karo. ( beahqi, shaab al imaan)
Hadees 5:
Hazrat Muhammad (saw) ne farmaya ke jis ne raat ke waqt Surat Yaseen parhi us halat me subha ko uthe ga ke woh baqsha hua hoga. ( ibn e kaseer)
Hadees 6:
Hazrat Ibne Abbas (raziallah anho) se rawayat he ke Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya ke meri ye tamana he ke ye Surat Yaseen har umaty ke dil me hoty. ( tafseer e ibn e kaseer)
Hadees 7:
Hazrat Ata Bin Rabah Tabi se marwi he ke mujhe ye hadees pohanchi ke jo aadmi din ke agaaz mein Surat Yaseen shareef parhe ga us ki tamaam zarooriyaat poori kar di jaye gi. (daarmi)
Bazoorgaan e deen ka qaul he ke ye Surat har qisam ki haajat ke liye bohat mofeed he. is liye agar kisi shaks ko sheedat e haajat darpaish ho to usay chahiye ke 11 din tak Surat Yaseen ko moobeeno ke saath rozana aik martaba parhe INSHALLAH us ki haajat poori hogi.

Subscribe to:
Posts (Atom)